Sunday, March 14, 2010

Uski batein...ye tanha raatein...

Mushkil main hain mann, asmanjas main hai ankhen,

Fir yaad ayi uski jhuki palken, vo dabi si batein,

Neend ne aaj fir mujhse daman chhoda liya,

Chalte chalet fir main natmastak vahin par baith gya,

Ankhon se fir ansoo chhalke,

Hazar koshish ki par fir bhi na ruke,

Ansuon ke bojh se palken uthati nahin,

Use pane ki tamanna dil se jati kyun nahin,

Rahein alag hai hamari dil kyun samjhta nahin,

Tadpta kyun hai chain se sota kyun nahin,

Kyun yaad ati hai uski har lafz uski har harkat,

Rab se har baar ki vo ibadat, uski har aahat,

Uska halke se muskurana, thoda sharmana,

Kabhi ajeeb si nigahon se dekhna,

kabhi anjani baat par naraj ho jana, Pal pal ka tadpana,

khaboon main use dher sahri baatein karna,

fir uski ek nazar ke liye tadapna,

Use pane ki khahish, aur uske samne ate hi ghabra jana,

Use yaad karna fir na jane kyun khud hi khud mushkurana,

vo dhalti sham ke aaghosh main bheegi ankhon se sona,

Uski ankhon main apna chehra talashna,

Uske barein main sochte rehna,

Uski har harkat ko ek paheli kit rah suljhana,

Fir usi peheli main gum ho jana,

Use samjhne ki koshish karna,

Use manane ki koshish karna, Use pane ki koshsih karna,

Vo mandir aur dargah jana, rab se use mangna,

Kabhi uljhnao ko aur uljhana,

Kabhi usko manana, kabhi khud b khud naraj ho jana,

Yaad tumhe bhi ayengi ye meri batein,

Tab dil royega aur roygi teri bhi ankhen.

,

No comments:

Post a Comment