Wednesday, January 27, 2010

Meri deewangi....meri jindagi...meri joobani..

OK friends.....here it starts....with some special touch......enjoy yourself......
Jab vo moholle ki galiyon se nikalti hai to log bavare se ho uthte hain mano bus vo hi reh gayi hai. Uske saye main neend lete hue log khawabon me khoye rehte hain. Bachhe, budhe aur jawan vo sabki pyari hai. Jab tak vo reheti hai to logon ka mann behelati rehti hai. Vo sabke dilon par raaj karti hain. Jab tak vo paas hai logon ke chehre par ek ajeeb si khamoshi bhari mushkurahat reheti hai. Par magar kahin thodi der ke liye bhi vo mohalle se gayab ho jaye, ya kahin cahli jaye to logon ki neend haram ho jati hai. Sab bechain ho uthte hai. Kuchh log to aas pados valo se poochne lagte hai ki yaar kahin tumhare yahan to nahin hai. Jab tak vo vapas na ajaye bus dil main ek khalbali si hoti rehti hai. Kuchh log jalan main ki kahin us ke yahan to nahin, mann hi mann gali dete rehte hain, ki uske yahan kaise hai hamare yahan kyun nahin ayi.
Aisa hi kuchh najara traino main bhi dekhne ko milta hai jab vo tarino main jati hai. Uski vajha se to train bhi ruk jati hai.Longon main uski vajah se jhagde hote hain. Uske log diwane hote ja rahe hain. Par vo hai ki kisiko bhav hi nahin deti. Uske liye garib kya aur seth kya, koi kitna hi amir kyun na ho bus ek najar ko vyakul rehta hain. Uski demand to bus bhadti hi jati hai. Uspar umar ka koi asar hi nahin hai. Har roj ek nayi si lagti hai or manmohak. Mano vo amar ho.
Kuchh log to uska galat istmal karte hain aur use pata bhi nahin lagne dete. Vo bhi badi bholi hai bus sabko apni chamchamti ankhon se dekhti rehti hain. Usko to bus sabka dil behlana achha lagta hain. Sab khus rehen vo to bus ye chahati hai. Par agar usko kisi ne chedne ki galti ki to bus uski khair nahin. Vo agali baar hazar baar sochega ki yaar kahin galt jagah haath na lag jaye. Log to aisa bhi kehete hain ki vo jaan tak le sakti hain agar usko chedon to. Par vo bus unko hi chot karti hai jo use pareshan karte hai. Vo bhi jab had ho jati hai.
Vo jab gaon me ati hai to logon ki hushi a thikana hi nahin rehta, mano unke sapne sakar ho gaye, unka jeevan safal ho gya. Kheton se ate hi sab puchte hai ki use dekha kya. Aur agar javab haan mile to bus kya kehne, sidhe uske paas chalen jate hain. Uski manmohak chaya main aram se baithe rehte hai usko niharte rehte hain. Par kahin usko na dekh payen to logon ka pura din bekar jata hai.
Aur bhai longon kya bataun main to uska diwana hun hi. Usko bachpan se dekhta aa rha hun par abhi tak vaisi hi jawan dekhti hai. Garmi main sardi ki thandak aur sardi main garmi ki rahat. Uski har ek ada ka main kayar hun. Log uske bare main likte bhi hai. Uske bare main maine kafi padha bhi hain, par jitna padhta hun utna hi kam lagta hain. Uske bare main jab ajeeb ajeeb se saval atein hain to main to bus sochta hi reh jatan hun. Par tab bhi mera pyar uske prati utna hi sachh hai jitna heer ka ranjhe ke sath, soni ka mahivaal ke sath, aur saleem ka annar kali ke sath tha. Ab to haal ye hain ki main uske bina jee nahin sakta aur bus use kisi bhi kimat par pana chahata hun. Besarmon ki trah bus uske bare main aur janne ki koshish karta rehta hun par vo bhi kam nahin hai har baar koi na koi bahan banker bhag jati hai, kabhi mujhe sula jati hai. Main har baar usko kisi tarah rokne ki koshish karta hun par abhi tak sab koshish nakam hain. Bus ab to ek hi tammana hai ki jiyun uske sath aur maroon bhi usike sath. Vaise vo videsh main bhi safar karti hai.
Doston meri madat karon taki main apni jaan ko kisi traha bata sakoon ki main use dilon jaan se chahat hun aur uske pyar main pagal hun aur bus ab uski hi hasrat hai taki use main jeet loon aur apna bana loon kuchh fayda utha loon.
Kash main apni jaan ke bare main aur bata sakta .Chalon itna to bata hi sakta hun ki usko angreji main “ELECTRICITY” kehete hain.......:-)
Vote for me now! Blogomania 2010 sponsored by Odyssey360 | The 24 hour online book store with 5 milion books to choose from.

2 comments:

  1. use devnagari script yaar... u can use transliteration tools such as quillpad.. or in built function of gmail..

    regards,
    ambuj

    ReplyDelete
  2. yeh i tried to translate it in Google translator but it was showing some awkward lines.....so i thought better keep it this way.....next time i will use ur suggestion.....thnks by the way.....and hope you enjoyed the script....

    ReplyDelete